A.t.m card kaisi chalu kre

Helo dosto mera name hai alok aur aaj hm bat karne wale hai ki a.t.m card ko kaise chalu kre
Iske liye sabse pahle to apko apna account khulwana padega jiske bad bank apko a.t.m card dega
b bat karte hai ki account khulwane ke liye apko kya chahiye to dosto apko bta du ki. Aaj ke samay me bank me account khulwana bhut asan ho gya hai bus agar apke pas adhar card hai to asani se apna account khulwa sakte hai
Ab bat karte hai atm card ke chalu karne ke tareeke ki
To dosto iske liye account khulwane ke bad bank apko ek bank kit deti hai jiske ander cheque book and passbook ttha atm card ke alawa anya kai cheeje hoti hai.
Jo ki apke ghar ke add pr bheji jati hai
Ab bat ye ati hai ki atm card kaise chalu kre to eske liye bank kai options deti jinme mobile ke dwara ya atm macheen ke dwara ya phir bank
Me sampark kiya ja sakta hain. chaliye ab ham alag step pr bat karte hain
Mobile ke dwara isme sabse pahle aap ko bank ke helpline number pr kal karna hota hai iske bad kai step me apse jankari mangi jati hain maslan
Apka bank account number mobile verification etc
Jab bank ke prosiger complete ho jate hai to apke mob pr ek otpbhej diya jata hai eske bad atm ko macheen me lgakr aap apna atm card activate kr sakte hai
Atm machee dwara aap atm machee ke dwara bhi apna otp  prapt kr sakte eske liye aap ko apna atm card machee me lgana padega phir kai step me apko sare prosiger complete carne honge
Iske bad apka otp apke mobile number pr aa jayega jise apko dobara apne atm machee me dalna hoga mitro yha pr apko ek bat dyan rakhni hai ki apko apna new password jaroor bna lena hai tha apne password ko kisi ke sath sare nhi karna yha tak ki bank ke sath bhi nhi 
Asa karta hun dosto apko ye jankari achee lgi hoti agar apko kisi bhi cheej ke bare me jankari leni hain to aap apna sawal cament box me puch sakte hai.
Hum apke sawalo ka jabab denge.


Comments

Popular posts from this blog

CCC form apply online

Indian most popular place taj mahal

नरेंद्र मोदी एक संक्षिप्त परिचय